RISHTA HUMARA
Waqt k saath jo khatm ho,
Woh rishta nahi,
Pyaar mein rahe kuch fasle,
Woh pyaar nahi,
Yakin mein reh jaaye kuch sawal,
Woh yakeen nahi,
Pass reh kar bhi aaye gar yaad,
Isse toh fasle sahi,
Aasun bhi rok gar naa paaye,
Kadam woh kabhi rukne k liye the nahi,
Raat ki khamoshi mein naa aaye yaad,
Woh yaadein humaari thi hi nahi,
Kaati humne umeedon ki dor aaj,
Ab hum tumhe pukaarenge nahi,
Likh rahe hain apni baat,
Dil hai ki maanega nahi,
Reh kar humaare saath,
Pyaar humse woh karega nahi,
Samajhta hai humaari baat,
Zidd woh ab kabhi karega nahi,
Din badalte hain,
Rishten nahi,
Hisaan lamho ka hum rakhte nahi,
Waqt hai beet gaya woh lautega nahi,
Hum waqt nahi,
Ek lamha aayega woh bhi,
Jab hum naa rahe,
Yaadon mein reh jaayenge,
Is jahaan se chale jaayenge,
Waqt k saath khatm ho,
Rishta woh nahi...
Comments
Post a Comment