Pal mein ek pal uljha

 Pal mein ek pal uljha,

Naa jaane yea kaise hua,
Aaya ek pal nayaa,
Soch mein woh bhi kho gaya,
Gujar gaya woh bhi uljhan mein,
Kaise suljhaye,
Uljhe sab ek hi uljhan mein,
Pal ek or aaya,
Dil ki baat sunta tha woh,
Kahe woh un sabse,
Schod do uljhan mein uljhna,
Gujar jaaye naa,
Aane wala pal bhi uljhan mein,
Hasi ko sameto,
Pyaar se gale lagao,
Naa jaane kab mile,
Fir hum ek duje se,
Palat k dekhe,
Apni Yaadon mein rakhe,
Pyaar k yea Kuch pal,
Chale zindagi k safar mein,
Kyu uljhe hum,
Jo naa ho apne bas mein,
Naa umeed rakho,
Baigano se yaa apno se,
Gujar jaayenge pal mein har pal,
Duniya k bazaar mein,
Mol sab ka lagta hai,
Waqt ka koi mol nahi,
Bas mein woh kissi k nahi,
Pal mein gujar jaayega yea bhi pal,
Haslo thoda,
Naa aaye lautke yea pal...





Comments

Popular posts from this blog

Vekh meri taqdir, Ranjhe di mai heer

AAKHEN HUMARI NAM HAI...

RUKTE RUKTE..