Paane ki zidd nahi, Khone ka darr bhi nahi....
Paane ki zidd nahi,
Khone ka darr bhi nahi,
Zameen se dur sahi,
Pass Kisike hum nahi,
aasman ki chath hi sahi,
Daffan abhi sharir nahi,
Umeed koi kyun hi kare,
Milten hain chehre anjaan kahi,
Kehte hain hum sahi,
Galti ka ehsaas bhi nahi,
Paane ki zidd nahi,
Khone ka dar bhi nahi,
Kyaa hai? Kyun hai?
Pehchaan se pehchaan nahi,
Saaye hain,
Saanjh mein,
Kho jaayenge andhere mein kahi,
Saath hain yaa nahi,
Chalna hai,
Milenge kabhi,
Manzil se aaj nahi,
Kal sahi,
Manlo yaa naa samjho,
Rishtein hain naam k mohtaaz sabhi,
Aaj hain kal nahi,
Tumse naa jude,
Jo tumhaare paas hain,
Paane ki chaah hai,
Kon tum kyaa naam hai?
Hosh kisse,
Kyun soche,
Paane ki zidd nahi,
Khone ka darr bhi nahi,
Din hai yaa raat hai,
Safaar ki shuruwat hai,
Kaat rahe boya tha kabhi,
Yaa bo rahe hain aaj abhi,
Khel hai yea koi,
Yaa khel rahe hain sabhi,
Nazariya mera sahi,
Samjhaana sabhi ko hai,
Samjhta koi nahi,
Awaaz hai,
Shor bhi,
Khamoshi ki khoj hai,
Bheetar hi uthte hain,
Sawaal k saath jawaab bhi,
Sunne ki aadat nahi,
Paane ki zidd nahi,
Khone ka darr bhi nahi....
Comments
Post a Comment