Neend aakhon se dur hai
Neend aakhon se dur hai,
Likhne ka man nahi,
Kuch panne palat kar padlen hum,
Shayaad aajaay neend abhi,
Ek kabi ki kavita padeih,
Dil usne khya tha kabhi,
Umr beet gayi,
Aaj bhi jee raha hai,
Zhakm apne see raha hai,
Naa jaane kyu,
Rishta unka bana nahi,
Shayad ho bewafaa jise dil diya ho kabhi,
Sach yea nahi,
Taqdir ne uske pyaar mein likhi thi saanse hi thodi,
Naa woh mar saka saath uske,
Naa jee raha hai beena uske,
Kitaab pe likha tha,
Nagma hai tute dil ka,
Kyaa shikaayat hum karein,
Dil k tukde sabhi k bikhre pade,
Comments
Post a Comment