Likhte hain kuch

 Likhte hain kuch,

Aadha adhura,
Kiska hua hai,
Khwaab koi pura,
Kissi ka pyaar chuta,
Toh kissi ka yaar jhuta,
Koi apne aap se rutha,
Swapn mein hain koi,
Koi neend se jaaga hai abhi,
Likhenge hum bhi kabhi,
Humaare dil ki,
Shikayaat naa karna,
Humne pukaara nahi,
Neend aakhon mein nahi,
Likhne ka man abhi nahi,
Likhtein hain hum kabhi,
Aadha adhura hi sahi,
Yaad tumhaari aati nahi,
Hum jaane dete hi nahi,
Aaoge tumbhi yehi,
Aaj nahi toh kal hi sahi,
Likhne ka mazaa hi nahi,
Dard dil mein gar nahi,
Likhtein hain hum bhi tabhi,
Jasbaat bas mein nahi,
Khwaab dekhein hain kahi,
Yaa neend se jaage hain abhi,
Likhne ka man abhi nahi,
Likhtein hain aadha adhura hi sahi,
Socha padle kissi or ki kavita abhi,
Duniya mein khush koi nahi,
Gum ki wajah,.
Sirf ek pyaar hi nahi,
Makaan kissi ka nahi,
Koi videsh gaya hi nahi,
Naukri kissi ko pasand nahi,
Paise ki Kami toh nahi,
Khush woh bhi nahi,
Paisa hai pyaar nahi,
Dundi khushi,
Kissi k paas nahi,
Likhtein hain hum bhi kabhi,
Aadha adhura hi sahi,
Yaad tumhaari jaane lagi,
Humne kaha thehro thoda abhi,
Likhtein haal apna,
Shayaad ho tumhaara bhi waisa,
Ruk gayi hai woh abhi,
Jaane hum use dete nahi....

Comments

Popular posts from this blog

Vekh meri taqdir, Ranjhe di mai heer

AAKHEN HUMARI NAM HAI...

RUKTE RUKTE..