apne Sitaron ko samjhte hain...
Aaj Kuch Naya likhtein hain,
Gyaan ki Kuch Baatien kahein,
Uljhan apni suljhaa rahe hain,
Sitaron se jawaab maang rahe hain,
Kisne dekha hai prarabhdh Kabhi,
Kehten hain granth sabhi,
Kar bhala ho bhala yehi,
Shani maharaj Kare nyay sahi,
Bete hain Surya k,
Mane naa kehna apne pita ka,
Waqt chala hai Sade saati ka,
Pita hai quaid mein Bete ki,
Raj hain papi grahon ka,
Baagi hai beta,
Sahi Waqt nahi,
Dekhten or kitnaa lete hain imitihaan woh mera,
Guru ki raashi Dhanu ucch ki,
Makar mein baithe neech hogaye,
yog hain saath wakri ka,
Lagna mein sinha hai,
Baithe Surya apne ghar hain,
Budh bhi saath hai,
Budhaaditya yog Bahut shubh hai,
Bete ne di shikast hai,
Do mei baithe shukra shubh hain,
Iss ghar mein Koi neech nahi,
Ghar hain dharam ka,
Nandi ki sawaari pe hain bholenaath wahi,
Satvaa ghar bana kumbh raashi,
Hai khaali,
Shani ko naa bhaaye meri khushi,
Navam hain Bhagya ka,
Ghar mangal ka,
mesh hain raashi baithe mangal bhi wahi,
vrushchik reh gaya khaali,
Pancham bhi Uttam hai,
Ghar Raja ka,
Baithe dushman rahu,
saath chandra ka,
Yog yea bhi shubh hai,
Shri Ram se milta hai,
Taqt k saath banswas likha hai,
shani or ketu hain gyara mein,
Ghar hain shani ka,
Rashi hai Budh ki ketu neech ka,
Kismat se aise yog bante hain,
Chahtien hain sitaare bhi yehi,
Rakhe sabr jab Waqt naa ho sahi..
Comments
Post a Comment